Top Ad unit 728 × 90

Dimagh Ko Kamzoor kr Dene Wali Aadten

No umri Insan ki zindgi ka Shayad Wo hissa hota he jahan insan ka Dimaagh sb se Kaam aata he our Use Sooch smjh se Kaam lena parta he ... Per Waqt Guzrne k Sath Sath Us ka Dimagh Kamzoor hota jata he Insan Zehni dabao ka Shikaar ho jata he Wese Zahir he Brhape ki kmzoori wapas jawani me to Lana Shayad Possible Nahi... Per Ham Apne Zehn ko Her Kaam k Sath Zrur Adjust rakh Skte hain ...Our Ham Zehni dabao Se bhi bch skte hain Hamari Kuch Aadten Aisi hoti hain jo Hamare Dimaagh Our Zehn ki kamzoori ka Ba'es bn jaati hain  Wo Konsi Aadten hain Ayen chand aik k baare me baat krte hain.

Late Sona Ya Neend ka Pura Na hona :


Ji han Late Night Ya deer se Sona ya Phir Neeend Ka Pura Na hona bhi Insan ko kmzoor our Bimaar bna Deta Ye Aadt hme Dimenshia our Alzaimer jaise Amraaz me mubtla kr deti hain .
Mahireen k Mutabik Raat me 6 se 8 Ghante Nind Ki jani chahiye ... Insan ko 6 se 8 ghnte Raat me zrur sona chahiye  wrna wo Mazkora bimaari ka shikaar bn skta he Badkismati se Aaj kal Akser log is bimaari ka shikaar hain neend ki kmi ki waja se ...kch logon ko Nind Nahi Aati Ya boht Late Aati he To Us ka bhi hal he Expert k mutabik Aise Logon ko Chaye ya Kofi ka Istmaal km ya Trak kr dena chahiye Our ..Mobil Phones Our TV Computer wagaira ka istmaal km kren raat k waqt. Wrna Na time Dekhna Yaad rahega our Na Raat ki neend dekhte hi dekhrr Subha ho jaygi 😁😁

Akela Pan Ya Tanha Rehna


Log Mail jool our Naye Naye logon se Mulaaqaat ko pasand krte hain jo k Sahi Aadt he Is se Wo Alzaimer jaisi bimaari se Door rehta he us k chances km hojate hain kch log Akeke rehna Pasand krte hain jo Dimaagh k lea Tabah kun he AAJ KAL Social Media per to hamare Be Tahasha Freinds hote hain Per Real life me Bhi Ziada Dost Hona zrurri he Maireen k mutabik Ziada Dost Zindgi me Khushgwari ka baes bnte hain Our Ba Maqsad zindgi guzarne me help krte hain .


Junk Foods :

Junk Foods Jaise Bargar Frnch Friz Our Soft Drink Bhi Dimasgh k lea Muzir he Aisi cheezen khane me Istmaal nahi krni chahiye ya in ki miqdaar intehai km ho ni chahiye Lehaaza aise khane se perhaaz kren Is k  brAks Green vegetables Our Sabziyon ka Istmaal Insan k zehen ko fresh Our Tro Taza Rakhta he .

HEAD FOnes Ya HandFree Ka Istmaal:

HeadFones Ya Handfree Ka Istaal bhi Dimaagh k lea Acha nahi he Her waqt handfree ya headfones ka Kano me lge rehna Sirf kano k lea nahi blke dimaagh k lea bhi Khtre ki alamat he Is Se insan ki Quwt e sama'at km hotjati he Jis se Dimaagh per bhi Aser perta he So Headfones ka Istaal Ziada na kren Musalsal 2 ghnte se ziada is ka istmaal na kren our Headfones Lgate waqt Volume 50 ℅ ya 60 % tak rakhen is se ziada na rakhen .

SUSTI OUR ALKAAHILI

kch log Susti our Alkaahli k maare hote hain our Wo Ahista Ahista Slow Slow. Kaam krne ko trjeh dete hain Jo k Insaan me  Azaimer jaisi bimaari ka khtra brha deta he Hme Active rehna chahiye Our Munasib wrzish bhi krleni chahiye  Hfte me 2 ghnte bhi ager Insaan Taizi se kaam kre our Wo thori chusti dikhaye tobYe bhi hmare jism our dimaagh k lea behter he .


Is K Ilawa Had se ziada Khana Our Suraj ki roshni se door rehna Our Tambako noshi bhi aisi Aadten hein jo Dimaaghi Amraaz ka baes bn jati he So ye hmari kch Adten thi jo dimaagh .ki kmzoori ya dimaaghi amraaz ka baes bn kr dimaagh ko kmzoor bnati hein In Aadton ko btane ka maqsad ye tha k Aap in Aadton ko choren our sehat Mand Zindgi guzaren 
Dimagh Ko Kamzoor kr Dene Wali Aadten Reviewed by Unknown on अगस्त 21, 2017 Rating: 5

कोई टिप्पणी नहीं:

All Rights Reserved by Pak Corner © 2014 - 2015
Designed by JOJOThemes

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *

Copyright @ 2017 Powered by Pak Corner. Blogger द्वारा संचालित.